10 amazing facts about india in hindi
भारत के बारे में 10 आश्चर्यजनक तथ्य
1.
Aapko
jaankar aascharya hoga ki Bharat me sabse jyada post office maujud hai. Karib
1,55,015 post office ke saath Bharat duniya ke sabse bada postal network ban
chuka hai.
2.
Kumbh
mela humare desh Bharat ka ek pramukh mele me se ek hai. Yehi mele me karodo
karodo sradhalu ekatra hote hai. 2011 me isi kumbh mele me karib 7.5 karod
sradhalu ekatra huye the. Bhid itni jyada thi ki Antarikhs se bhi dikhaae de
rahi thi.
3.
Bharat
abhi tak sabhi Kabaddi world cup jeet chuki hai. Purush aur mahila dal dono hi
is maamle me aage hai.
4.
Kya
aapko pata hai, ki chandrama par paani ki khoj kisne pehle ki thi? 2009
September me Bharat ke ISRO Chandrayan-1 ne apne Moon Mineralogy Mapper (MP3) ka prayog karke
pehli baar chandrama par paani ka pata lagaya.
5.
Humare
desh Bharat ka pehla Rocket itna chhota aur halka tha ki ise Keral ke
Thiruanantpuram me Thumba launching station par ek Bicycle se pohonchaya gaya
tha.
6.
Humara
desh Bharat ek pramukh dharmik sthan hai. Dharmik kaarono se lagbhag 30-40%
bharatiya saakaahaari hote hai. Aur is wajah se Bharat duniya ke sabse bade
saakaahaari anukul desh ban jata hai.
7.
Bharat
me har saal bohat log janma lete hai. Aur iska % bhi bohat hai. Bharat me har
saal janma ki sankhya Australia ki kul jansankya se adhik hai. Bohat anya
rastro se bhi adhik hai.
8.
Bharat
me bohat log jyadatar English me baatein karte hai. Lagbhag 12 karod log
English me baatein karte hai. Jo ki Bharat ki kul jansankya ka 10% hai. Isi ke
saath Bharat, America ke baad dusra sabse jyada English bolne wali desh ban
jata hai. Future me isi logo ki sankhya badhne ki puri ummid hai.
9.
“0”,
ji haan dosto. Zero ki khoj isi Bharat me hi huya hai.
10. Jaise
ki aap sabhi ko maalum hai, ki Bharat 2nd largest desh hai. Desh me
yatayat karne ke liye sadak ka hona bohat jaruri hai. Bharat me karib 20 lakh
mil duri par sadak ko cover kiya gaya hai. Aur isi wajah se Bharat duniya ke
sabse bada Road Network me no.1 me hai.
IF YOU LIKE THIS POST THEN SHARE & COMMENT.